Thursday, March 18, 2010
Lecture Notes.. Contined .....
Lecture Notes-Incomplete.....
Some of the works have contributions from my famed class mates...
I ll introduce them as n when their inputs appear......
Most of them are incomplete, coz u know luckily the lecture ends...
Would really appreciate u coming forwars to complete them..
Friday, July 10, 2009
TUM: A DEDICATION
Bhatakta tha andheron mein,talaash thi ik jugnu ki;
banke suraj meri zindagi mein aye TUM....
Tod ke mere dil ke ird gird ki deewarein,
dheeme dheeme se us mein samaye TUM...
Jhulas jaata main is duniya ki chilchilati dhup mein,
gar banke baadal na hote mujhe pe mandarae TUM...
Ladkhada rahi thi meri zindagi tamaam,
mujhko sambhaala har su,na kabhi dagmagaaye TUM...
Uthne laga jab bhi mere aansuon ka bawandar,
le ke jhadi hansi ki har baar aye TUM...
Na de saka hun kuch bhi,na de paaunga kabhi;
fir bhi jaa rahe ho,mujh pe sab kuch lutaye TUM...
Murjha rahe the tamaam gukistan yahan,
aaye tum to saath bahaar mod laaye TUM....
Kahan ye seedha dil,kahan ye chehra-e-masoom;
badi fursat mein lagta ho khuda ne banaye TUM...
Kahan ye aankhon ki chamak, kahan ye honton ki hansi;
kyun kar no ho gumaan use jispe muskurae TUM...
Sochta tha aakhir hai kya bala wafa,
samjhaane ise mujhe,khuda-e-ishq ban ke aye TUM...
Itne kiye karam,ek aur ehsaan kar do;
ye hansi hai zindagi hamari,na isko chehre se hatao TUM...
Hanso,baso,luto maze zindagi tamaam;
bus isi liye ho khuda ne banaye TUM...
Bahut kshish ki ki keh dein ishq hai tumse,
kya karein hamesha ishq ki jagah zubaan pe aye TUM....
Wednesday, April 22, 2009
Ishq
Love being the single major factor that runs the lives of a lot of us........
Such a beautiful thing n i ve not said a word glorifying it..... Here it is.......
Jab banayi Kaynaat to sochta hai khuda,
Is haseen jahan se kaise rahunga juda.......
Jab kuch na shujha use jisse dur ho ye rashk,
To khud hi aa gaya zameen pe ban ke wo ishk......
Yun to tamam umar chalti hain saansein,
Par zinda hone ka asli ehsaas dilata hai ishk.......
Wo jinhone kabhi kaleen se pair neeche na tha rakha,
tapti ret pe unhe nange pair chalaata hai ishk.....
Jin haathon ne kabhi baaanti thi asharfian sone ki,
unhi haathon se fir bheekh mangaata hai ishk....
Bhar deta hai pehle to tamaam jahaan ki khushian tumhaari jholi mein,
Gam deke fir us hansi ki keemat batata hai ishk....
Pal mein banae farishta aur pal mein haiwaan kar de,
Tumhe zindagi ke sab pahlu dikhaata hai ishk.......
kaun kahta hai deta hai bus na bharne waale zakhm,
Kar de Rangeen jo tamaam zindagi wo satrangi yaadein de jaat hai ishk......
Raaton ko uth uth ke andhere kamre ki diwaaron se jhagdoge jab,
fir na puchoge kabhi kaise ho jata hai ishk.....
Zindagi aur maut se pare, saath aur judaai se dur,
apni har ik soch mein pritam ka ehsaas de jata hai ishk......
Ik junoon,ik vahshiyat,ik pagalpan,ik kasak,
zindagi jeene ki vajah ban jaata hai ishk.....
Kaise kahun tujhe kitna shukriya hai tera rab,
ki bina kabiliyat ke bhi mujhe nawaaza hai ishk...........
Thursday, March 26, 2009
AAKHIR KYUN.......
Aakhir kyun??
Apne aap ko hi dhokha deta hai ,
hath faila faila kar gum tu leta hai....
Kissi lachaar ke lahu mein paroskar,
apni aulaad ko pakwaan kyun deta hai....
Aakhir kyun??????
Aazma ke apne ma baap pe apni baazuon ka zor,
han apne soorma hone ki tu gawaahi deta hai....
Khud sah nahi sakta kaante ki chuban tu,
kis hak se duje ke seene mein khanjar deta hai....
Aakhir kyun??
Apne matlab ki khatir jhagjhod ke rishton ka wajood,
banata bahan kabhi,bana priye fir leta hai.....
apni vaasnao ko de ke naye naam kayi,
duniya ki nazaron mein bana paak tu deta hai....
Aakhir kyun?????
Cheerta hai chaati kissi ki tu us pe tik to sahi,
fir kaayaron ki tarah marham us pe laga kyun deta hai.....
nahi hai gar dum tujh mein anjaam dekhne ka,
to nayi koshishon ko aagaz kyun deta hai.....
Aakhir kyun?????
Kiya to wahi tune jo tere man mein tha,
ab halaat dekh ke ankh mein aansu bhar kyun leta hai......
Kaun nahi gaya tere karib se dur,
fir bata apni maut se aankhein mund kyun leta hai....
Akhir kyun?????
Har baat pe bahas karni hai ati tujhe,
Fir apne hi sawaalon pe dhaar maun kyun leta hai.......
Jab koshish hi nahi ki tune kabhi khushi dhundne,
fir kuch kami hai ye rona rota kyun rahta hai.....
Aakhir kyun?????
Ja baith samne aaine ke puch khud se ,
Kya yahi hai wajood tera ki bus saans tu leta hai....
Hai waqt abhi sambhal jaa ae dost,
Warna fir wahi sawaal sabka anjaam maut kyun hota hai....
Aakhir kyun????
Monday, January 12, 2009
Ye hain chingariyaan zara rahna tu inse dur ae duniya....
Nahi marham ki in zakhmon ko ab ik khanjar ki khwahish hai,
zara sa aur risne de,ki banne de inhe nasoor ae duniya...
main tujhse door jata hun to daaman thaamti hai kyun,
bina mere kya itni hai lachaar ae duniya.....
tere rishton ke wo panne,jinko khun se tha seencha,
Han kar raha hun unko zaarozaar ae duniya....
tere lafzon ki shakkar mein jo matlab ki milaawat hai,
wo mere tan ko chubti hai,ho jaise shul ae duniya.......
Shukriya
Tera shukriya ae hum dum tune diya saath mera,
Mujhse hi chut gaya kahin haath tera.....
Na thi kami tere ishk main koi,
tu ho haasil mujhe ye na tha naseeb mera....
Ik ik chiz teri dheere dheere juda hui,
tu gayi, fir teri yaad ,jaa raha hai ab to gam bhi tera....
teri di anguthi bhi na jaane kahan hai ab,
lagta hai kho jaega mujhse ik din naam tera....
Tere vaadon ke seene se lapet kar rakha tha,
jam ke sard ho gaye aisa barfila hai khayal tera....
teri usi tuti tasveer ko jodne ki koshish karta hun har baar,
jaane kyun nahi bardaasht mujhe ye chehra tera....
Sochta hun kahin kissi kone mein tere dil ke,
abhi bhi chapa hoga ik halka sa naam mera.....
tamam zindagi na sahi, har waqt bhi nahi,
magar tere kuch lamhon pe to abhi bhi hak hoga mera......
Kya bataun is chaak jigar ke armaan kya hain,
bus chahta hun chand lamhon ke liye saath tera...
Jaanta hun chah kar bhi na de paegi tu mujhko,
Wo bheegi palkein, wo tez dhadkan,wo makhmali haath tera...
Kahin chupa ke rakh raha hun aj mein,
Wo chand khat tere,wo ik photo frame,wo tooth brush,wo ik jhumka tera....
Teri kameez pe se silvatein haatane ko ji nahi chahta..........
Kaise haataun main doston ke labon se naam tera.....
Abhi tak sambhaale rakha hai maine,kayi saal pehle aaj hi ke din khareedi us toffy ka wrapper,
uske do kaagazon ko baant ke humne kaha tha ye mera aur ye tera...
Kya karun bata us bus ki ticket ka,jab hum sabse chup ke pehli baar kahin gaye the,
aur ho gaya tha yakin zindagi bhar na chutega saath tera....
Abhi bhi yaad nahi ata mujhe ,
ki kab ho gaya wo favourite rang mera......
kab seekha maine dukaan pe lagi saadiyan aur suit dekhna,
koson dur tha jinse main, jaane kab un aansuon se tune rishta jod diya mera...
Abhi bhi palkon pe se ik baal girta hai,
to wahi dua maangta hai deewana tera.
aur fir pure zor se phunk maarta hun ki wo na adhuri rahe,
tu jahan rahe hansti basti rahe hai yahi armaan mera...
Kuch nahi chahta hun tujhse ae dost,
bus un hasin lamhon ko yaad kar ik pal muskura de ae dost hoga ehsaan tera......
aur gar kahin koi zakhm hara ho jaye,aur dard uthe to ro lena,
aaj ke din tere do aansu ka to hak banta hai mera....
Tahe dil se dua hai us rab se, tu khush rahe har su,
teri jaan na to tera anjaan hun,par hun ab bhi tera...
khata hun kasam aj ke baad na sataunga tujhe,
ab na mandraega aas paas ye bhanwara tera....