Monday, January 12, 2009

Shukriya

Wrote this quite some time back...... Thought of putting it on blogger. Don know y??????

Tera shukriya ae hum dum tune diya saath mera,
Mujhse hi chut gaya kahin haath tera.....
Na thi kami tere ishk main koi,
tu ho haasil mujhe ye na tha naseeb mera....

Ik ik chiz teri dheere dheere juda hui,
tu gayi, fir teri yaad ,jaa raha hai ab to gam bhi tera....
teri di anguthi bhi na jaane kahan hai ab,
lagta hai kho jaega mujhse ik din naam tera....

Tere vaadon ke seene se lapet kar rakha tha,
jam ke sard ho gaye aisa barfila hai khayal tera....
teri usi tuti tasveer ko jodne ki koshish karta hun har baar,
jaane kyun nahi bardaasht mujhe ye chehra tera....

Sochta hun kahin kissi kone mein tere dil ke,
abhi bhi chapa hoga ik halka sa naam mera.....
tamam zindagi na sahi, har waqt bhi nahi,
magar tere kuch lamhon pe to abhi bhi hak hoga mera......

Kya bataun is chaak jigar ke armaan kya hain,
bus chahta hun chand lamhon ke liye saath tera...
Jaanta hun chah kar bhi na de paegi tu mujhko,
Wo bheegi palkein, wo tez dhadkan,wo makhmali haath tera...

Kahin chupa ke rakh raha hun aj mein,
Wo chand khat tere,wo ik photo frame,wo tooth brush,wo ik jhumka tera....
Teri kameez pe se silvatein haatane ko ji nahi chahta..........
Kaise haataun main doston ke labon se naam tera.....

Abhi tak sambhaale rakha hai maine,kayi saal pehle aaj hi ke din khareedi us toffy ka wrapper,
uske do kaagazon ko baant ke humne kaha tha ye mera aur ye tera...
Kya karun bata us bus ki ticket ka,jab hum sabse chup ke pehli baar kahin gaye the,
aur ho gaya tha yakin zindagi bhar na chutega saath tera....

Abhi bhi yaad nahi ata mujhe ,
ki kab ho gaya wo favourite rang mera......
kab seekha maine dukaan pe lagi saadiyan aur suit dekhna,
koson dur tha jinse main, jaane kab un aansuon se tune rishta jod diya mera...

Abhi bhi palkon pe se ik baal girta hai,
to wahi dua maangta hai deewana tera.
aur fir pure zor se phunk maarta hun ki wo na adhuri rahe,
tu jahan rahe hansti basti rahe hai yahi armaan mera...

Kuch nahi chahta hun tujhse ae dost,
bus un hasin lamhon ko yaad kar ik pal muskura de ae dost hoga ehsaan tera......
aur gar kahin koi zakhm hara ho jaye,aur dard uthe to ro lena,
aaj ke din tere do aansu ka to hak banta hai mera....

Tahe dil se dua hai us rab se, tu khush rahe har su,
teri jaan na to tera anjaan hun,par hun ab bhi tera...
khata hun kasam aj ke baad na sataunga tujhe,
ab na mandraega aas paas ye bhanwara tera....

1 comment:

Rolee said...
This comment has been removed by the author.