Thursday, March 26, 2009

AAKHIR KYUN.......

Bata de mujhe ae insaan ab to....
Aakhir kyun??
Apne aap ko hi dhokha deta hai ,
hath faila faila kar gum tu leta hai....
Kissi lachaar ke lahu mein paroskar,
apni aulaad ko pakwaan kyun deta hai....
Aakhir kyun??????

Aazma ke apne ma baap pe apni baazuon ka zor,
han apne soorma hone ki tu gawaahi deta hai....
Khud sah nahi sakta kaante ki chuban tu,
kis hak se duje ke seene mein khanjar deta hai....
Aakhir kyun??

Apne matlab ki khatir jhagjhod ke rishton ka wajood,
banata bahan kabhi,bana priye fir leta hai.....
apni vaasnao ko de ke naye naam kayi,
duniya ki nazaron mein bana paak tu deta hai....
Aakhir kyun?????

Cheerta hai chaati kissi ki tu us pe tik to sahi,
fir kaayaron ki tarah marham us pe laga kyun deta hai.....
nahi hai gar dum tujh mein anjaam dekhne ka,
to nayi koshishon ko aagaz kyun deta hai.....
Aakhir kyun?????

Kiya to wahi tune jo tere man mein tha,
ab halaat dekh ke ankh mein aansu bhar kyun leta hai......
Kaun nahi gaya tere karib se dur,
fir bata apni maut se aankhein mund kyun leta hai....
Akhir kyun?????

Har baat pe bahas karni hai ati tujhe,
Fir apne hi sawaalon pe dhaar maun kyun leta hai.......
Jab koshish hi nahi ki tune kabhi khushi dhundne,
fir kuch kami hai ye rona rota kyun rahta hai.....
Aakhir kyun?????

Ja baith samne aaine ke puch khud se ,
Kya yahi hai wajood tera ki bus saans tu leta hai....
Hai waqt abhi sambhal jaa ae dost,
Warna fir wahi sawaal sabka anjaam maut kyun hota hai....
Aakhir kyun????

1 comment:

thelosttraveller said...

as usual ur piece is gr8. u percieve and think abt thngs which r beyond othr ppls understanding.