Wednesday, April 22, 2009

Ishq

Love being the single major factor that runs the lives of a lot of us........

Such a beautiful thing n i ve not said a word glorifying it..... Here it is.......

Jab banayi Kaynaat to sochta hai khuda,

Is haseen jahan se kaise rahunga juda.......

Jab kuch na shujha use jisse dur ho ye rashk,

To khud hi aa gaya zameen pe ban ke wo ishk......

Yun to tamam umar chalti hain saansein,

Par zinda hone ka asli ehsaas dilata hai ishk.......

Wo jinhone kabhi kaleen se pair neeche na tha rakha,

tapti ret pe unhe nange pair chalaata hai ishk.....

Jin haathon ne kabhi baaanti thi asharfian sone ki,

unhi haathon se fir bheekh mangaata hai ishk....

Bhar deta hai pehle to tamaam jahaan ki khushian tumhaari jholi mein,

Gam deke fir us hansi ki keemat batata hai ishk....

Pal mein banae farishta aur pal mein haiwaan kar de,

Tumhe zindagi ke sab pahlu dikhaata hai ishk.......

kaun kahta hai deta hai bus na bharne waale zakhm,

Kar de Rangeen jo tamaam zindagi wo satrangi yaadein de jaat hai ishk......

Raaton ko uth uth ke andhere kamre ki diwaaron se jhagdoge jab,

fir na puchoge kabhi kaise ho jata hai ishk.....

Zindagi aur maut se pare, saath aur judaai se dur,

apni har ik soch mein pritam ka ehsaas de jata hai ishk......

Ik junoon,ik vahshiyat,ik pagalpan,ik kasak,

zindagi jeene ki vajah ban jaata hai ishk.....

Kaise kahun tujhe kitna shukriya hai tera rab,

ki bina kabiliyat ke bhi mujhe nawaaza hai ishk...........

3 comments:

Unknown said...

Raaton ko uth uth ke andhere kamre ki diwaaron se jhagdoge jab,

fir na puchoge kabhi kaise ho jata hai ishk.....


mast line hai yaar...
maza aa gaya padh ke

KHWAHISH said...

THANK YOU HAI SIR JI;)

Unknown said...

mast . He he