Thursday, March 18, 2010

Lecture Notes.. Contined .....

Ek Chidiya.....
(The sole poem i ve written in HR class...
Would not have been possible without Javed s help.
Javed s inputs are in upper case)
Ek chidiya,ud gayi;
Fir uski gardan,mud gayi....
Uske sir pe suraj tha,
USKE ACCOUNT MEIN KARZ THA.
UDTE UDTE USNE DEKHA,
nanga khada tha uska beta....
usko kuch kuch hone laga,
JAB USKA PATI SONE LAGA.
USNE KUDKAR CHEETA PAKDA,
usko apne panje mein jakda...
chidiya cheeta le ke udi,
CHEETEY PE CHIDIYA BHAARI PADI.
ITNE MEIN CHEETA RONE LAGA,
kyunki usko orgasm hone laga....
chidiya jab usko chuti thi,
USE LAGTA USKI KISMAT FUTI THI.
CHEETEY NE CHIDIYA KO ZOR SE KAATA,
chidiya ne usko maara chaanta.
Udti jaati Konika( our esteemed HR Ma am) ne jab ye dekha,
USNE hr KA BORING LECTURE FENKA.
SUNKE CHIDIYA KO NIND AA GAYI,
IS TARAH CHEETEY KI JAAN BACH GAYI....
ab cheetah roz ye kahaani sunaata hai,
aur konika ke gun gaata hai....
TOTAL NONSENSE
(this is what happens when 4 people sit down to write a poem
Saahas-S
Nagi-N
Deepak-D
Javed-J)
J-Bahut purani baat hai beta, ek sust aadmi tha apne ghar pe leta...
Tabhi kissi ne door bajaya,
S-usne socha ab kaun aya.
Wo bola dar tod ke aaja,
N-Aur aa ke baja ja mera baaja.
D-Par baaja tha pada kharaab,
J- Islie usne pi ji bhar sharaab.
Pite hi tharra uske dimaag ki batti ho gayi gul,
S- Wo bola bar girl ko aaja meri bulbul....
N- Bulbul nachti hui ayi aur boli,
Chal aj uthwati hun teri doli..
D-Ye sun kar aadmi ka man dola,
USne uthaya apna udan khatola......
( We could not write after this coz v were too busy laughing.)
CON MAN ZINDABAD.
(What follows is a collection some lines i wrote in this legendary class,fighting to stay awake....
The mood of the poems will tell u a lot bout my condition...)
Dhundta firta hun shaks ko main,
Jo bata de ki ye majra kya hai....
Manzil tak pahunchne ki to hain raahein bahut,
Par nahi khabar manzil ke baad raasta kya hai....
Karte hain jad-o-jahed jis ko paane ki marne tak,
Wo mil jae maut se pehle to fir bachta kya hai.....
Har subah jo aa ke hamari duniya ko raushan karta hai,
Kabhi kho jae andheri raat mein wo suraj to kya hoga....
Karti hai roshan jo har mehfil ko jal jal ke,
Wo shama jala ke sab veerana bana de to kya hoga....
Kuch dwandwa hai, jo dase jaa raha,
Ik kanta gale mein fanse jaa raha...
Hun pagal ya hua sayana abhi,
apni laash pe hi hanse jaar raha....
Ik raah mujhko pukaarti,
Ki na kar fikar sansaar ki....
Chal abhi nikal,kar na der kar;
Kyun hai dekhe raah bahaar ki.....
Lamha lamha guzarti jae zindagi,
Pachtaaega jo tune der ki....
Tujhse pehle bhi maine kuch chizon ko chaha tha,
Tujhse pehle bhi kuch chehron ko bus khush dekhna chaha tha......
Par har bar nakaam raha main,har baar koi dil toda;
Fir bhi mere is dil ne na koshish karna choda.....
Har fool bana tha shool mera,de jaata ghaav kissi ko,
Mera pyaar se kuch kahna lagta dabaav kissi ko....
Fir sochna maine aakhir ye hota kyun hai,
Jiski hansi pe jaan di humne aakhir wo rota kyun hai....
Kaafi jhatkon ke baad hamein fir raaz samajh ye aya,

1 comment:

Rishabh Gautam said...

Is it Cheeta as in ANT or our Cheetah aka Nitin
By the way, hilarious stuff
HR class had everyone dreaming. MM and Swami about Mansi and you guys about an ant